Skip to main content

Elaan E Jung se pehle ke Kaarname

👑 Elaan e Nabuwat se pehle ke ❤️Kaarname👑☘️☘️☘️☘️☘️🍀🍀🍀🍀☘️☘️☘️☘️☘️☘️☘️☘️☘️☘️☘️☘️


Elaan E Jung se pehle ke kaename

Elaan e Nabuwat se pehle ke ❤️Kaarname



❤️Jange fijaar :


Islam se pahle Arabo Mein Ladaiyo ka ek lamba Silsila Jari tha unhi Ladai Mein Se mashur Ladai Jange Fijaar ke naam se mashur hai Arab Ke Log Jul qaeda jul hijja  Muharram ul Haram aur rajabul Murajja in 4 mahine Ki bahoot Izzat Karte The in mahino Mein Ladai karne ko Gunah samajhte the

❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️


 Yahan tak ki in mahino Mein log talwaro  ko Niyam Mein Rakh Dete the aur balon ki bachiya utaar lete the Magar kabhi kabhi Kuch Aise hangami Halat aajate ki majburi me in mahino mein bhi Ladai Karni padti in Ladaio ko ehle  Arab Gunahon Ki Ladai Kehthe sabse Akhri Jange Fijaar Jo qurais aur kes ke kaviyon ke Darmiyaan Hui us Waqt Huzur Sallallahu alayhi wa sallam Ki Umar Sharif bees Baras Ki Thi kas Quresh haq par the isliye Abu Talib vagera Chacha ke saath aapne bhi is jag mein shirkat farmayi Magar kisi par Hathiyar nahi uthaya sirf itna hi Kiya  Apne Chacha ko teer Utha kar dete Rahe aur is Ladai Mein pahle

'kas' FIR Quresh galib Aaye aakhirkar Sulha par is Ladai ka khatma ho gaya! 


❤️HALfull -Fuzul:


Roj Roj Ki Ladaiyo se Arab ke sekdo gharane Barbad ho gaye the Har Taraf badamni aur Aaye din lootmar se mulk ka Aman chain Barbad ho chuka tha Koi shaks Apni Jaan aur maal ko Mehfooz nahi samajhta tha na din ko chain na rat ko Aaram is kharab Surat e  haal se  tang akar kuch Logon Ne  Jang e Fijaar ke khatame ke bad ek islahi tehrik chalayi !




Banu Hashim Banu  Zahara Banu Ashad wagera kavila e Quresh ke bade bade Sardar Abdullah Bin Judaan ke Makan par Ek  ekattha Huwe! Huzoor Sallallahu alayhi wa sallam Ke Chacha zuber bin Abdul mutalib ne yeh tazbeej Pesh ki ke mojuda Halat ko sudharne Ke Liye Koi muaada hona chahiye khandani Qures ke Sardaro ne Jiyo Aur Jeene Do ke kism Ka 1 moahada Kiya aur Kasam Kha kar Wada Kiya ki hum log

(1)  Mulk Se beamni Dur Karenge

(2)  Musafiron Ki Hifazat Karenge

(3 ) garibo ki imdad Karenge

(4)  mazloom ki madad Karenge

(5)  Kisi zalim ya Lootere ko Makka me nahi   
rehne denge 


Elaan e Nabuwat se pehle ke ❤️Kaarname



Is muahada me Huzur akdas Sallallahu Ala Wasallam bhi shareek hue! Apko yeh muahada is Kadar pyra tha ke Elaan E nabuwat ke baad aap farmaya  Karte The ki is muahada se Mujhe Itni Khushi hui ki Agar is muahada Ke Badle Mein Koi Mujhse Lal Rang Ke Ud bhi Mang Leta to Mujhe Itni Khushi nahi hoti Islam mein bhi agar koi Mazloom (ya alla halfull fujool) Keh kar Mujh Se madad ke liye Pukare to main uski madad ke liye taiyar Hoon

❤️Mulk e Sham ka dusra Safar:


Jab Aap Ki Umar Sharif takriban 25 saal ki Hui to aap ki sacchai Aur imandari Ka Charcha Dur Dur Tak pahunch chuka tha Hazrat Khadija Radi Allahu Tala anhu Makka ki ek bahut hi Maldar Aurat Thi unke Sohar ka inteqal ho chuka tha unko jarurat Thi Ki Koi Amaanatdar admi  Mil Jaye to uske sath apni Tijarat ka maal mulk e Sham bheje! Chunanche Unki Nazron Ne is Kaam ke liye Huzoor Sallallahu alayhi wa sallam ko Chun liya


 Kerala kar bheja  kii aap mera Mal Tijarat Lekar mulke Sham jan Jo Badla main dusre ko deti hoon aapki Amanat aur Dayanantdai
ki Bina Par Main aap ko dugana Dungi Huzoor Sallallahu alayhi wa sallam ne  unki darkest Manzoor Farma li aur Tijarat ka maal Lekar mulke sham ko Ravana Ho Gaye is safar mein Hazrat e  katija ne apne Bharose Mand Ghulam  mosra ko bhi rawana kar diya tha ki woh aap ki khidmat Karta Rahe


Jab aap mulke Sham Ke mashoor  shehar Busra ke bazaar me pahunche To Wahan nastoora ke rahib ki  khaanka ke karib Tehre! 'nastoora' 'mosra' ko  Bahut pehle se Jaanta pehchanta tha Huzoor Sallallahu Salam Ki Surat Dekhte hi nastoora mosra  ke paas Aaya aur Pucha Ki e mosra ya kaun shaks hai  jo is ped Ke Niche Utar pade hai ! 
Mosra  Ne jawab Diya ki ya Makka ke rehne wale aur Khandan Banu Hashim ke Chasmo Chirag Hai in ka Nam e Nami Mohammad aur laqaab Amin hai

nastura ne kaha shivaay Nabi Ke  is peed Ke Neeche Aaj Tak Koi Nahi Uttara isliye Mujhe poora yakeen hai ki Nabi e Akhiru jama  yahi hai Kyunki Akhri Nabi Ki Tamam nishaniyan jo maine Torret aur injeel  Mein padi hai wo Sab Mein in me dekh raha hoon Kash main use Waqt Tak Jinda rahta Jab yeh apni nabuwat ka Elan Karenge to main Inki bharpoor madad Karta Puri Junoon  Sar ke sath inki   khidmat Mein Apni❤️


Tamam Umr Gujjar data e mosra main tumko nasiyat aur wasiyat karta hoon ki khabar Dhar Ek Lamha ke liye Tum in Se Juda Na hona Intehayi khuloos aqeedat ke sath Din Ki khidmat Karte Rehana Kyunki Allah Tala Ne inko Kehtemun nabiun hone ka  shaf ata Farmaya❤️


Huzur e akdas Sallallahu alayhi wa sallam Bushra Ke Bazaar Mein bahut jaldi Tijarat ka maal bech Kar Ke Makka mukarrama Wapas aa gaye bapsi main aap ka kafila shehre Makkah Mein dakhil hone laga to Hazrat Bibi khatija Radi Allahu Tala anhu 1 balakhana par Baithi Hui Kafle ki aamad ka manzar dekh rahi thi Jab aapki Nazar Huzoor Sallallahu alayhi wa sallam par padi to Unhe Aisa Najar aaya ki do Farishtay aapke Sir Par Saya kiye hue hain❤️


Hazrat e hatija radiallahu taala anhu Ke Dil par is Noorani manzar ka ek Khas Asar hua hua Puri aqeedat se Intehyi waali Hannah Mohabbat Ke Saath ye Haseen Jalwa Dekhti Rahi Phir aapne Ghulam mausera se  Kai din ke baad iska zikr Kiya To mosara ne bataya Ki Main To pure safar mein Yahi Manzar dekhta Raha Hoon❤️


Iske alava main Bahut Si Ajeebo gareeb Baton ka Mushaira Kiya FIR Mosra ne Nastoora  ki batchit aur uski aqeedat Aur Mohabbat Ka Bayan Bhi Kiya ya Sun ka Hazrat Bibi Khadija Radi Allahu Tala anho ko aapse Bepanah Dili Taluka aur  Mohabbat Ho Gayi Yahan Tak Unka Dil Jhuk Gaya ki aap se Nikah ki ragbat Ho Gayi ❤️


❤️Nikah:


Hazrat Bibi katija  Razi Allah Tala anhu maal Daulat ke saath Intehai Sharif aur paakbaaz khatoon thi ehale Makka Unki pakdamni aur aur parSahi ki vajah se unko taahira Pak Baaz Kahate the Unki Umar 40 saal ki ho chuki thi Pahale Unka Nikaah Abu hala bin  ja raha tamimi see huwa tha Unse do ladke Hind Bin Abbu Hala aur Hala Bin Abbu Hala Paida Ho Chuke the


Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam ki phuphi Hazrat Sophia Ko Bulaya Huzoor ke Jati Hai Halat ke bare mein maloomat Hasil ki Sallallahu alayhi wa sallam ke paas Nikah Ka Paigam bheja Mashoor
 Imame Seerat Muhammad bin ishak Ne likha hai ki is Rishte ko Pasand karne ki jo Wajah Hazrat Khadija Radi Allahu Tala anhu Ne Khud Sallallahu alayhi wa sallam Ki Hai Wo Khud unke Alfaaz mein hai

❤️maine aap ke acche akhlaq aur Aapki sacchai Ki vajah se aap ko Pasand Kiya Hai !❤️


Huzoor Sallallahu alayhi Wasallam Ne is Rishte ko Apne Chacha Abu Talib aur Khandan ke dusre Bade budho Ke Samne pesh farmaya Bhala Hazrat Khatija jaisi akalmand aur  maldar aurat see shadi karne see kaun na karta saare rishtedaro ne Neha Khushi Ke Sath is Rishte ko Manzoor kar liya❤️


❤️ Nikah ki Tarik Muqarar huwi Huzoor Sallallahu alayhi wa sallam Hazrat Hamza Radi Allahu Tala anhu Abu Talib Apne Chacha aur Khandan ke dusre Logon aur  Bani Hashim ke Sardar mojar ko apni Barat Mein Lekar Hazrat Bibi Khadija ke Makan par tasreef Le Gaye Nikah huwa Nikah K Waqt Abu Talib ne  khutba pada 

❤️Kaba Ki tameer:


Aap ki Sachai aur Amanat aur Dayanand ki badolat khuda wand alam Ne aapko Is Kadar Logon Mein Maqbool bana diya Akle Salim aur Bemisal Akal Mandi Ka Aisa Azim zohar ata farma Diya ki Kam umri me he aapne Arab ke bade bade Sardaro ke  Faisla ko kya Aage Sar Jhuka diya sab ne ek Sath aapko apna hakam aur Sardari Aadam Tasleem kar liya is Kism Ka Ek Waqia tameer e Kaba ke Waqt pesh Aya


 Jiski tafseel Yeh Hai Ki  jab aapki Umra 35 Baras ki huwi to zordaar Barish se Haram e  Kabba Mein Aisa Azim Sailab se gaya ki kabba ki deewar bilkul dhey Gayi Hazrat Ibrahim Hazrat Ismail ka Banaya Hua kabba bahut hi purana ho chuka tha aamalka kabila e jurhum aur kusayi apne apne waqto me is kabbe ki tamir or marammat Karte rhe


Magar imarat gehrai Mein thi isliye pahadiyon se barsati pani ka bahav zordar Dhara Vadi Makka me hokar gujarta tha Aksar Haram e Kabba me selab  aa jata tha kaabe Ki Hifazat ke liye upri hisse me  Quresh  ne kayi band  Banaye the Magar wo band Bar Bar Toot  Jaate the isliye qurais ne yeh teh Kiya ki  imarat  ko  dhaa Kar fir se Banaye Jaye Jiska Darwaza bulan Ho Chhat bhi ho Quresh ne  mil jul kar kar tamir ka Kam siru Kar Diya


 is tamir Mein Huzoor Sallallahu alayhi wa sallam bhi Shariq hue Sardar Qureshi ke sath Pathar Utha Utha Kar late Rahe mukhtalif Kabhi loan Neta Mil Ke Liye mukhtalif se aapas mein taqseem kar liye jog imarat hajre ashwad Tak pahunch Gayi Tu Kabile  Main  jhagda Ho Har kabila Yahi Chahta tha ki hum hi hajre Ashwad ko Utha Kar Deewar Mein nasab kare Taki Hamare Kabile ke  Liye fakr aur Ejaz ka sabab Ban Jaye ISI? Kasme Chaar Din Guzar Gaye Yahan Tak nowat AA gyi ke talware nikal aayi


   
Banu Abdul Daar aur Banu rdk Kabilan ne tho Isme Jaan Ki Baazi Laga di zamane jahliyat ke Dastoor ke mutabik apni kasmo ko majboot karne ke liye ek Pyale mein Khoon Bhar Kar apni ungli usme dubo kar chatli 5 we din haram e  Kabba me Tamam kabila e Arab jama huwe  is jhagde ko tey karne ke liye Ki Ek budhe  shks ne Ray di ki kal subah Sawere sabse pahle haram me dakhil ho usko panch man  Liya Jaye wo Jo Faisla Kar De Wo Sab aapko tasleem Karle



Sab Ne Ye Baat Man li khuda ki shan ki Subah ko jo shaks haram e Kabba me dakhil huwa Rahmate allam  Sallallahu alayhi wa sallam hi the aapko Dekhte hi Sab pukar uthe kii wallah Ye ameen hai lehaza Hum Sab in ke Faisale par  Razi hai aapne jhagde ko Is Tarah Katam farmaya ki Pahale Apne Yeh Hukum Diya ki Jis jis Kabile  ke log Hazre asbad ko Uske Makan par rakhne ke liye  mudayi hai Unka Ek  ek sardar choon liya Jaye chunanche Har kavile Walon Ne Apna Apna Sardar Chun liya


 Phir Huzoor Sallallahu alayhi Wasallam ne apni Chadar Mubarak ko bichada kar hajre aswad ko Upar Rakh Diya Aur sardaro ko Hukoom diya ki sab log is Chadar ko utha  kar muqaddas Pathar ko Chunache  sardaran Ne Chadar Ko uthaya k jab Hajre aswad apne Makaam Tak pohac gya to


Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne Barkat wale hatho se muqaddas Pathar ko Utha Kar iski jagah par rakh Diya is Tarah Ek Hasi Khatarnak Ladai tal Gai Jiske natije Mein Na Maloom Kitna Khoon kharaba Hota !


Khana e Kaba Ki imarat Ban Gaye Lekin Kaam ke liye Jo Saman Jama Kiya gaya tha wo kaam Pad Gaya isliye Ek Taraf ka Kuch hissa Bahar Chod karuneye buniyad Kayam Karke Chhota Sa Kabba Bana Diya Gaya Kaba Ka Yahi hissa Jisko Quresh ne imarat Se Bahar chod diya tha Hatim Kehlata Hai Jisme kabbba Moaajama ki Chhath ka parnala girta hai!!



❤️Kaba kitne baar tamir Kiya gaya :


Hazrat Allama Jalaluddin Sufiyati Radi Allahu Tala anhu tarikhe Mekka me tehrir farmaya hai ki khana e Kabba 10 bar tamir Kiya gaya 


(1)   sabse pahle farishto Ne thik Baitul  Mamoor Ke Samne Zameen Par Khana Kaba Ko Banaya


(2) fir Hazrat  e Adam alaihis Salam ne iski tamir farmayi  !


(3) Iske Baat Hazrat Adam Ali Salam ke Farzando ne is imarat Ko Banaya!


(4) Iske baad Hazrat Ibrahim khalilullah aur unke farzando Ismail alaihissalam Ne is muqaddas Ghar Ko  tamir Kiya Jiska taskira Quran mein hai !


(5)  com e Amalka ki imarat !

(6) Iske baad Kabila e lie JurHum ne  iski imarat Banayi !


(7) Quresh ke murishe Alha'kusai bin qilab ki tamir 


(8) Quresh ki  tamir jisme khud Huzoor Sallallahu alayhi Wasallam ne sirkat farmayi Quresh Ke Saath Apne kandhe par Mubarak Pathar Utha Utha Kar late rahe! 


(9) Hazrat Abdullah Bin Zubair Razi Allah Tala Anho Apne door Khilafat Main Hoon Sallallahu alayhi wa sallam ke Banaye Hue nakshe ke mutabik tameer Kiya! Jani Hatim Ki Zameen ko kabba  Mein dakhil kar diya Gaya aur Darwaza Sathe  Zameen Ke barabar niche Rakha Ek Darwaza Purab ki Janeb or ek  darwaza Paschim Ki Jaaneb bana diya! 


(10 Abdul Malik Bin Marwan  umbi ke  zalim Governor hajar Bin Yusuf Shafi Ne Hazrat Abdullah Bin zuber ko Shahid kar diya aur unke Banaye Hue kabba ko dha diya  fir zamane Jahaliyat ke nakshe ke mutabik kabba ko bana Diya jo aaj tak  mojud hai


Lekin Hazrat Allama halvi radi Allahu Tala ne apni Seerat mein likha hai ki  naye sire see kabba ki tameere jadid 3 he martaba hui 


(1) Hazrat Ibrahim Ali Salam ki tameer


(2) Zamana e Jahaliyat main Qureshi ki imarat aur in dono  Tamiro  mein 2735 baras ki doori hai 


(3). Hazrat e Abdullah Bin Zubair ki tamir



❤️Maqsoos Sathi:


Elaan E nabuwat se pahle Jo log Huzoor Sallallahu alayhi wa sallam ke Maqsoos ehbab Dost the Wo Sab Nehayat Buland akhlaq hoshmand or waqar ke log the!

UN me sabse Jyada karibi Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Tala anho the Jo aapke Saath Watan aur safar mein rahe! Tijarat Aur KaroBari Mamlo Mein Hamesha aapke ShriKekar aur rajdar Rahe!
Hazrat Khadija Radi Allahu Tala anhu Ke Chacha Jatt bhai Hazrat Hatik Bin hajaam Jo Qurais ke Nehayat he Bade Raees se
Hazrat zimad  bin salwar radi Allahu Tala anhu doctori aur Pati ka pesha Karte The

Hazrat e kes bin Sahib mukhzoomi Razi Allahu Tala anhu Karobar mein aapke sharikekar the aapke gehre doston mein se the 

Gair -mamuli kirdar:

Huzoor Sallallahu alayhi wa sallam ke bachpan ka Jamana Khatam Hua jawani ka jamana Aaya to bachpan ki tarah Aap Ki Jawani bhi aam Logon se nirali thi Aap Ki Jawani Mukammal Hui  chal chalan ismat Waqar ka Kamil namuna tha


Elaan E nabuwat se Pahale Huzoor Sallallahu alayhi Wasallam Ki Zindagi e behtarin akhlaq wa Aadat ka Khazana thi sacchai ; Dayanand aur wafadari waade ki pabandi bado ki azmat choto se shafqat ristedaro se mohabbat rehem sakhawat com ki khidmat dosto se hamdardi Azizo ki gumkuari mufliso garibon ki khabargiri dushmano ke saath neke wartab acchi acchi Baaton Mein aap Itni bulland Manzil par pahunch hue the Ki Duniya Ke bade se bade Insaan ke liye Wahan Tak pahunch Na to kya uska tashabur bhi mumkin nahin tha!


Kam bolna bekar Ki Baaton Se Nafrat karna hansmukhi aur Kush ruibke sath dost aur Dushman se milna Har mamle Mein shaadgi aur Safai ke saath baat karna Huzoor Sallallahu alayhi wa sallam ki adat thi! 


Laalach Dhoka jhoot Sharab Kori badkari Nach gana loot maar ishqbaazi yeh Tamam Buri aadate aur Majmoom khaslat Jo Jamana e Jahaliyat me Goya har bacche ki asal mein hoti Thi Huzoor Sallallahu alayhi Wasallam ki Jati girami in Tamam ebo se se paak rahi . Aapki sacchai ka pure Arab Mein Charcha tha

Makka ke Har Chote Bade ke Dilon mein aapke behtarin akhlaq Ka Aitbaar aur sab ki nazron mein aap ka ek Khas Waqar tha

Bachpan se takriban 40 Baras Ki Umr Sharif Ho Gayi lekin Jamana  e jahaliyat Ke Mohal Mein Rehne Ke bawjud tamam Musrikana rasmo or jahilana aadato se Hamesha aap ka Daman paak Raha !

Makka shirk aur Budh parasti ka sabse bada markaz tha Khud khana a Kaba Mein 360 Booton ki Pooja hoti Thi aapke Khandan wale hi car became Kavali aur sajjada Nasheen the lekin Uske bawjud aapne Kabhi buto ke Aage Sar Nahi jhukaya
🌹🌹🌹

Asmani Paigam ke utarne aur Elaan E nabuwat se pehle he aapkiMuqaddas Zindagi acche akhlaq or nek kamo ka Mujassama aur Tamam  chizo se Pak hi Rahe

Elaan e Nabuwat se pehle ke ❤️karname




❤️❤️❤️❤️❤️



Elaan E nabuwat ke Bad ke dushmano Ne Intehayi koshish ki ki koi Chhota Sa eab ya zara si khilafe tehzib koi baat Aap Ki Zindagi ke kisi Door Main bhi mil jaaye to Utha Kar Le Kar Ke Logon ki Nigahon Mein aapko jalil  kar de Magar tarikh ki gawah hai Dushman sochte sochte thak gaye lekin koi bhi ek Waqia bhi aisa na mil saka jisse wo aap par ungli utha sake !
❤️

Lehaza her Insaan Haqeeqat ke Manne par Majboor ho gaye ki bila subha huzoor SallallahuSallallahu alayhi Wasallam dusro Ka kirdar insaaniyat Ka aisa Herat me dalne wala Aur ger mamuli Kedar hai jo Nabi Ke Siwa Kisi dusre ke liye Mumkin hi Nahin Hai Yahi vajah Hai Ki


Elaan E nabuwat ke bad Nek  ruhe aap ka Kalma padh kar Tan Man Dhan ke sath Is Tarah Aap Par Qurban Hone Lagi ki Hindi Ki Jaan nisaron Ko Dekh Kar Sharma ke parwano Ne Jaan Nisari Ka Sabak Sikha Haqeeqat Pehchan wale log Puri aqeedat Sinha ki sachchai aur aap ko Kurban Karke aap ke bataiye Ve Raste Par Aashiqana adaaon ke sath Jawane hal se yeh kehte huwe chal pade ki :-🌹🌹🌹🌹



https://raviullawal.blogspot.com/2019/07/muhummad-saw-paidaisi.html


Allah Rabbul Izzat hume kehne sun’ne se jyda amal ki taufik de,
– Hume nek aur nek banaye ! Sirate Mustakim par chalaye,
– hum tamam ko Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) se sacchi Mohabbat aur ita-at ki taufik ata farmaye.
– jab tak hume zinda rakhey islam aur imaan par zinda rakhye,
– khatma humara imaan par ho. Ameen summa ameen🤲🤲🤲🤲🤲🤲🤲🤲🤲🤲🤲🤲🤲🤲🤲

shonasabrishona0520@gmail.comRAVI_ULL_AWAL



🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿

🤲🤲Note: Likhne Mein Humse Koi  gakti ya Khata ho gayi ho to zarur humarai islah Kare jajak Allah kher🤲🤲🌹🌹🌹🤲🤲🌹🌹🌹🌹🤲🤲


Humarai is post. Elaan E Jung se pehle ke Kaarname ko jayeda see facebook WhatsApp par share Karen 🙂






Comments

Anonymous said…
Allha apko ESE he Hume achi achi BT batane ke tofik de